hum tere gham ko jo purkar bana kar utthe nafas-e-garm ko talwar bana kar utthe aao hum hanste uthen bazm-e-dil-azaran se kaun ehsas ko bimar bana kar utthe raat bhar tajraba-e-khun-e-jigar hum ne kiya subh-dam dasht ko gulzar bana kar utthe mahfil-e-raaz mein hum sah gae har wahm ki chot aakhir ek ishq ka mear bana kar utthe un nigahon ka taqaza-e-sukhan yun tha ki hum be-zabani ko bhi ashaar bana kar utthe jab pae-fikr-e-sukhan hum kabhi baithe 'kausar' sher ko misr ka bazar bana kar utthe