chup ke aalam mein wo taswir si surat us ki bolti hai to badal jati hai rangat us ki sidhiyan chadhte achanak wo mili thi mujh ko us ki aawaz mein maujud thi hairat us ki hath chhu lun to laraz jati hai patte ki tarah wahi na-karda-gunahi pe nadamat us ki kisi thahri hui saat ki tarah mohr-ba-lab mujh se dekhi nahin jati ye aziyyat us ki aankh rakhte ho to us aankh ki tahrir padho munh se iqrar na karna to hai aadat us ki khud wo aaghosh-e-kushada hai jazire ki tarah phaile dariyaon ki manind mohabbat us ki raushni ruh ki aati hai magar chhan chhan kar sust-rau abr ka tukda hai tabiat us ki hai abhi lams ka ehsas mere honton par sabt phaili hui hui bahon pe hararat us ki wo agar ja bhi chuki hai to na aankhen kholo abhi mahsus kiye jao rifaqat us ki dil dhadakta hai to wo aankh bulati hai mujhe sans aati hai to milti hai bashaarat us ki wo kabhi aankh bhi jhapke to laraz jata hun mujh ko us se bhi zyaada hai zarurat us ki wo kahin jaan na le ret ka tila hun main mere kandhon pe hai tamir imarat us ki be-talab jina bhi 'shahzad' talab hai us ki zinda rahne ki tamanna bhi shararat us ki