naya adam koi nai hadon ka intikhab ab utar lun main rukh se ye dawam ka naqab ab hum apni zindagi ko khud se dur le ke jaenge ki phutne hi wala hai khala ka ye habab ab janam na le sake tere bhanwar ki aankh mein to kya hum aur paniyon mein dhund lenge ek sarab ab sada sukut jo bhi chahiye utha le is ghadi main band kar raha hun aise marhalon ke bab ab jahan hai jo kahan hai wo jahan nahin hai sab wahin tarashne laga hun kis tilism se main khwab ab jahan hai aks ka khandar umad pade hain sab udhar 'riyaz' ho raha hai tera aaina kharab ab