un aankhon ka mujh se koi wada to nahin hai thodi si mohabbat hai ziyaada to nahin hai uslub-e-nazar se mera mafhum na samjhe wo yar mera itna bhi sada to nahin hai aaghaz jo ki main ne nai ek mohabbat ye pichhli mohabbat ka iada to nahin hai sine mein bujha jata hai dil mera sar-e-sham is gham ka ilaj aatish-e-baada to nahin hai phir se teri aankhon mein siwa rang-e-mohabbat phir tark-e-mohabbat ka irada to nahin hai parwaz ke sab khwab yahin rakkhe hain main ne go kunj-e-qafas itna kushada to nahin hai khanon mein bhatakta nazar aaya mujhe insan shatranj zamana ka piyaada to nahin hai jate hain kahin aur pahunchte hain kahin aur ek aur bhi jada pas-e-jada to nahin hai