chupke chupke dard-o-gham ka silsila rahne diya main ne apni chahaton ko be-sada rahne diya kya tamasha-e-sitam sayyaad ne barpa kiya dal kar mujh ko qafas mein dar khula rahne diya qurbaten mujh se rahin aur dil se rakkha dur bhi sath rah kar bhi unhon ne fasla rahne diya karwan chalta raha lekin gira jo zoaf se raste mein jaise ek patthar pada rahne diya ab tawaqqo hi nahin wo ghair hain to ghair hain bas yahi kuchh soch kar hum ne gila rahne diya faisle un ke rahe aur jit bhi un ki rahi mujh ko to har haal mein be-dast-o-pa rahne diya chal rahi hai zindagi ye daud hai wo daud hai is tarah kuchh pa liya jo kho gaya rahne diya tha pari-paikar ko apne husn par itna ghurur jaan-e-bulbul se bhi us ne fasla rahne diya ab kahan dhundoge 'barham' chahaten aur qurbaten tum ne khud hi shahr ko na-ashna rahne diya