tere jalwon mein gum ho kar nishan baqi nahin rahta nishan kaisa ki hasti ka guman baqi nahin rahta mohabbat mein nizam-e-jism-o-jaan baqi nahin rahta ye wo manzil hai jis mein karwan baqi nahin rahta kahen sayyaad kya hum us chaman ke rahne wale hain bahaaron mein gulistan tak jahan baqi nahin rahta mita de apni hasti imtihan-gah-e-mohabbat mein ki is ke baad koi imtihan baqi nahin rahta tajalli teri jab hoti hai mahw-e-jalwa-arai to phir jalwon se koi aastan baqi nahin rahta wahan pahuncha diya soz-e-gham-e-pinhan ne ab hum ko ki gham minjumla-e-umr-e-rawan baqi nahin rahta ab us manzil pe le aai hai meri be-khudi mujh ko jahan farq-e-makan-o-la-makan baqi nahin rahta mere aaina-e-dil ki haqiqat puchhne wale yahan aa kar koi raaz-e-nihan baqi nahin rahta wo duniya ho lahad ho ya qayamat ho ki mahshar ho gham-e-amal ka rona kahan baqi nahin rahta sada aati hai raaton ko yahi gor-e-ghariban se charagh-e-sarhad-e-manzil yahan baqi nahin rahta bhula deti hai teri yaad yaad-e-ma-siwa dil se tere hote khayal-e-digaran baqi nahin rahta jabin-e-shauq jhuk bhi ja kahan ka pas-e-ruswai ki phir qurb-e-jabin-o-astan baqi nahin rahta mujhe hairat unhen shikwa jabin-e-shauq sargardan ki sang-e-dar pe sajdon ka nishan baqi nahin rahta jahan insaniyat ka khun ho jazbaat ki rau mein wahan mear-e-takhliq-e-jahan baqi nahin rahta shahidan-e-mohabbat ki ajab duniya hai ai 'afqar' jahan zikr-e-hayat-e-jawedan baqi nahin rahta