fasana-ha-e-shab-e-gham hai dastan meri gai na aah kabhi su-e-asman meri likha hua tha muqaddar mein jite-ji marna chhupi hui thi kahin marg-e-na-gahan meri jahan pe khun-e-shahidan tha qarz mitti par usi dayar mein hai gor-e-be-nishan meri charagh-e-shab ki tarah soz-e-gham ke mahshar mein na-jaane kaise gai umr raegan meri mizaj-e-husn hai 'barham' nigar-khane mein hui hai tarz-e-takallum bhi be-zaban meri talash-e-yar mein dida-o-dil bhi ibrat hain luta gae hain kahin par mata-e-jaan meri wo shokh-e-naz gulabon se khelne wale hansi hansi mein uda le gae fughan meri saba ne chhed diye saz-e-dil mohabbat ke kali kali ke labon par hai dastan meri chura ke le gai sare hi raaz gulshan ke wahi saba thi muqaddar mein raaz-dan meri ulajh pada hai wo qatil bhi be-sabab hum se khuda bachae kahin le na le wo jaan meri koi nahin hai jo is zindagi ka mehwar ho bhatak rahi hai azal se kahan kahan meri utha janaza to kohram mach gaya 'barham' sanbhal ke le gae mitti si mehrban meri