chur the log jo sangini-e-hijrat se yahan sans bhi aata nahin un ko suhulat se yahan wo kisi phul kisi ghunche ke haqdar nahin dasht gulzar banate hain jo mehnat se yahan chogha pahnaya gaya jhut ka sachchai ko aur maani liye nafrat ke mohabbat se yahan hum ne buniyaad rakhi zahr-bujhe sajdon ki tegh ka kaam liya hum ne ibaadat se yahan hath haalat ne dale hain garebanon mein zindagi kaise guzare koi izzat se yahan pet pe bandha gaya sabr ka bhaari patthar aur guzara gaya har lamha mashaqqat se yahan sahab-e-mimbar-o-mehrab bhi kya bhuka hai pet ki aag bujhata hai shariat se yahan sans chubhta raha kante ki tarah dil mein 'nabil' jism dhalte rahe chhaalon mein aziyyat se yahan