chura ke mere taq se kitab koi le gaya meri tamam umr ka hisab koi le gaya ye waqia hai jab luti mere chaman ki aabru larazti shakh rah gai gulab koi le gaya wahi to ek zariya-e-najat mere pas tha magar mere zamir ka sawab koi le gaya sawal ban ke ru-ba-ru khadi hui thi zindagi mera lahu nichod kar jawab koi le gaya mere badan mein chubh rahi thin suiyan si raat bhar sahar hui to lutf-e-iztirab koi le gaya chhupa liya hai main ne sara dard apni ruh mein tasalliyon ka zahiri naqab koi le gaya