ghar hai to dar bhi hoga diwar bhi rahegi zanjir bhi hilegi jhankar bhi rahegi tarikiyon ke qalb-e-tarik-tar mein dhundo ek shama mawara-e-anwar bhi rahegi behtar tha be-rukhi ka izhaar yun na hota mana ki kuchh to wajh-e-inkar bhi rahegi jis aankh ko chhupa kar rakkha hai har nazar se wo nim-wa bhi hogi bedar bhi rahegi sahra talab ka goya maidan-e-karbala hai panw mein ret sar par talwar bhi rahegi qurbat ki saaton mein duri ka khauf hoga sae se raushni ki paikar bhi rahegi zahir hai sadgi bhi 'almas' ke sukhan se lekin ghazal ki fitrat pur-kar bhi rahegi