sanson ko karb zist gham-e-be-panah ko kis kis ko mutmain main karun khwah-makhwah ko suraj ke par dekh sako gar meri tarah tab ja ke paoge meri hadd-e-nigah ko main is fareb-gah mein wo aadam-gazida hun dhunde hai jo andheron mein ja-e-panah ko apna na main hua to bhala kaun hai mera apnae kyun koi kisi gum-karda-rah ko main hadson ki bhid mein tanha khada hua aawaz de raha hun kisi khair-khwah ko saya bhi ham-qadam na mera ho isi liye khatir mein laya main na kisi intibah ko