dab gain maujen yakayak josh mein aane ke baad mit gai tufan ki hasti mujh se takrane ke baad sakhtiyan mere liye aasaniyan banti gain shahsawar-e-karbala ki yaad aa jaane ke baad dekh li chashm-e-jahan ne quwwat-e-mazlumiyat dhaha gae khud zalimon ke ghar sitam dhane ke baad sai-e-haq mein mere mathe ka pasina dekh kar pani pani ho gain maujen bhi lahrane ke baad thi mere aane se pahle har taraf chhai khizan sahn-e-gulshan mein bahaar aai mere aane ke baad dastan-e-ghair mein koi haqiqat thi agar gard ho kar ud gai kyun mere afsane ke baad chhod kar tarz-e-fughan mahw-e-rajaz-khwani hue naghma-sanjaan-e-chaman meri ghazal gane ke baad tera shoala phunk sakta hai use mana magar soch le ai shama apna hashr parwane ke baad mujh ko aati hai hansi naseh teri is baat par tu samajhta hai ki main samjhunga samjhane ke baad khak udai yun bagulon ne ki parda pad gaya kaun jaane kya hua sahra mein diwane ke baad aashiyana jal gaya zulm-o-jafa-o-jaur ka meri aah-e-atishin ke 'barq' ban jaane ke baad