mere har lafz ki tauqir rahne ke liye hai main wo zinda hun meri tahrir rahne ke liye hai sitam-gar ne jo pahnai mere dast-e-talab mein ye mat samjho ki wo zanjir rahne ke liye hai mera aaina-e-tasnif deta hai gawahi mera har nuqta-e-tafsir rahne ke liye hai rahega to na tera zulm par roz-e-abad tak hamare dard ki jagir rahne ke liye hai jise mir nigahon ne kabhi dekha nahin hai mere dil mein wahi taswir rahne ke liye hai sar-e-baatil kiya do-lakht jis ne bhi jahan mein salamat bas wahi shamshir rahne ke liye hai junun-e-shauq takhrib-e-jahan mit kar rahega magar har jazba-e-tamir rahne ke liye hai na likkha sher koi aur samajh baithe hain nadan adab mein harba-e-tashhir rahne ke liye hai guzar jaenge hum dar-e-fana se 'bakhsh' lekin hamare shahr ki tasir rahne ke liye hai