daba pada hai kahin dasht mein khazana mera tu kis talash mein hai shahr mein diwana mera tamam raat hai aankhon se aansuon ki kashid tamam raat khula hai sharab-khana mera ye meri ruh ka jhagda tha aasman ke sath bila-qusur badan ban gaya nishana mera falak ke sar pe pade hain meri zamin ke panw mere sirhane se uncha hai paitana mera main ek zakhm barabar zamin pe rahta hun wo kah rahe hain ye qabza hai ghasibana mera to aao ahl-e-jahan is pe faisla kar len makan sara tumhaara darun-e-khana mera khud apne aap mein hai sari meri aamad-o-raft kahin se aana na ab hai kahin bhi jaana mera kahan ka ishq hawas tak bhi ho nahin sakti yahi rahega jo andaz mujrimana mera bikherni hai jise zulf us ka istiqbaal wabaal-e-shahr se khali hai ek shana mera main khub faqa na karta to mar gaya hota mere khilaf saf-ara tha aab-o-dana mera kabhi khuda kabhi insan rah mein hail khud apne aap se rishta bhi ghaebana mera kahin mere kisi lamhe se phir hui koi chuk phir aate aate kahin rah gaya zamana mera tere ghayab ki khidmat mein sara mera qusur wajud phir bhi wahi ghair-hazirana mera wo mere lafz ke donon suron se waqif hai kabhi bhi kaam na aaya koi bahana mera