to mil bhi jae to phir bhi tujhe talash karun har ek daur mein takhliq-e-irtiash karun main fash ho hi chuka hun to kya zaruri hai? ki apne sath tujhe bhi jahan mein fash karun suragh-e-zist mile reza reza insan ko butan-e-asr ko kuchh aise pash pash karun zamin ne qarz diya mujh ko rizq ki surat marun to kyun na supurd us ke apni lash karun mujhe najat mile tira-kariyon se kash main nur ugaun yahan raushni maash karun meri baqa ka taqaza hai jab bhi rut badle main jama az-sar-e-nau apni qash qash karun jadid daur mein rahte hue bhi ai 'ruhi' hai aarzu ki na tark apni bud-o-bash karun