hukm-e-sayyaad hai ta-khatm-e-tamasha-e-bahaar sari duniya kahe bulbul na kahe hae bahaar subh gul-gasht ko jate ho ki sharmae bahaar kya ye matlab hai gulistan se nikal jae bahaar munh se kuchh bhi dam-e-rukhsat na kaha bulbul ne sirf sayyaad ne itna to suna hae bahaar ye bhi kuchh baat hui gul hanse tum ruth gae is pe ye zid ki abhi khak mein mil jae bahaar tere qurban 'qamar' munh sar-e-gulzar na khol sadqe us chand si surat pe na ho jae bahaar