zanu par us ke raat raha sar tamam raat pesh-e-nazar raha rukh-e-dilbar tamam raat kis se kahun kati meri kyunkar tamam raat tadpa kiya mera dil-e-muztar tamam raat baitha raha hun sham se aksar tamam raat ginta raha hun hijr mein akhtar tamam raat aisa bandha tasawwur-e-abru ki khwab mein kata kiya gala dam-e-khanjar tamam raat kya jaanta hai wahshat-e-shab-ha-e-tar ko kati ho jaise shama jala kar tamam raat ho garche be-nawa wahi sultan-e-waqt hai jis ko hai wasl-e-yar mayassar tamam raat ai 'ajiz' un ki kyon na dua mustajab ho karte hain jo ibaadat-e-dawar tamam raat