diwanon ko manzil ka pata yaad nahin hai jab se tera naqsh-e-kaf-e-pa yaad nahin hai afsurdagi-e-ishq ke khulte nahin asbab kya baat bhula baithe hain kya yaad nahin hai hum dil-zadgan jite hain yaadon ke sahaare han mit gae jis par wo ada yaad nahin hai ghar apna to bhuli hi thi aashuftagi-e-dil khud-rafta ko ab dar bhi tera yaad nahin hai lete hain tera nam hi yun jagte sote jaise ki hamein apna khuda yaad nahin hai ye ek hi ehsan-e-gham dost hai kya kam be-mehri-e-dauran ki jafa yaad nahin hai be-barse guzar jate hain umde hue baadal jaise unhen mera hi pata yaad nahin hai is bar 'wahid' aap ki aankhen nahin barsin kya jhumti zulfon ki ghata yaad nahin hai