danton se jabki us gul-e-tar ke dabae honth bola ki sahab apne se samjho parae honth us ghairat-qamar ke agar dekh pae honth lal-e-yaman bhi rashk se apna chabae honth phulon se us ke jabki chaman mein milae honth nazuk ziyaada rag se saman ke bhi pae honth samjha main khizr-e-chashma-e-ab-e-hayat hun honthon se mere us ne jo apne milae honth manga jo bosa yar se main ne shab-e-visal az-khud maze mein aa ke mere kat khae honth kya kya sifat zaban se sausan ki bhi suni mal kar misi chaman mein jo us ne dikhae honth surkhi ne un labon ki kiya aashiqon ka khun lali jami jo pat ke to kya rang lae honth honthon mein dab kar jo gilauri di yar ne kya dant pise ghairon ne kya kya chabae honth pani bhar aae misriyon ke munh mein waqt-e-did shirin ki ral tapke jo wo dekh pae honth dam aa gaya labon pe ye dahkaya yar ne sau bar pas honthon ke la kar hatae honth shirin-labi to dekhna wo neshkar bani quliyan ki nai se us ne jo apne lagae honth bose dahan ke is ke nahin bhulte 'qalaq' kahta hun hae dant kabhi gah hae honth