ek aarzu nazar se jhalakti zarur hai

ek aarzu nazar se jhalakti zarur hai
dil ke qarib barq chamakti zarur hai

mohtat chashm-e-shauq rahe lakh bazm mein
mauj-e-sharab-e-jam chhalakti zarur hai

hangama-e-sukut mein hai rabt-e-soz-e-gham
raaton mein din ki aag dahakti zarur hai

zoam-e-shuur kaif ana lutf aagahi
is be-khudi mein fikr bahakti zarur hai

chalti hai jab bhi dil mein hawa tajrabaat ki
shakh-e-gul-e-shuur mahakti zarur hai

sapnon ke is khandar mein shab-e-gham ke saz par
parchhain si kisi ki thirakti zarur hai

soz-e-jafa to mange hai shabnam nigah ki
warna ye dhimi aanch bhadakti zarur hai

sanwla na jae chand tasawwur ki raat ka
pichhle ki chandni bhi chatakti zarur hai

chhupti hai kab chhupane se koi kasak 'kalim'
rang-e-ghazal se tere jhalakti zarur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close