dagh jalta hai mere sine mein dil pighalta hai mere sine mein shisha-o-sang muqabil aae kuchh chatakhta hai mere sine mein raat bhar raaz-e-khirad sirrr-e-junun dil ugalta hai mere sine mein tera khat hai ki qalam hai mera kuchh to jalta hai mere sine mein is liye dasht se manus hun main shahr basta hai mere sine mein bantte rahte hain wo lal-o-gohar ghan barasta hai mere sine mein chudiyan khanki hain phir raat gae husn sajta hai mere sine mein phir khizan mein khila baghi ghuncha dil larazta hai mere sine mein ism-e-saqi wahi ism-e-azam kaun japta hai mere sine mein dil mera qurrat-o-mansur ka nam le ke chalta hai mere sine mein be-khudi aur khudi ka taga ja ulajhta hai mere sine mein baada 'suqraat' wahan pita hai dam nikalta hai mere sine mein baada 'suqraat' se 'talat' ko mila sach panapta hai mere sine mein