khak-e-dil par gham ka baadal jab talak barsa na tha apne andar ka chaman kuchh is tarah mahka na tha chilchilati dhup mein bin man ke bachche ke liye ja-ba-ja pedon ke jhurmut mein kahin saya na tha gham ke mausam mein safar lagta tha sadiyon par muhit rut badalne par laga aisa bahut arsa na tha aaj aankhen farsh-e-rah un ke liye karna padin hum ne mud ke jin ko chalte mein kabhi dekha na tha ahd-e-nau ki aag sinon mein lagi hai raat-din phul se jazbon ka gulshan is tarah jhulsa na tha dard to insan azal se sahta aaya hai magar yun kabhi dard-ashna ke waste tarsa na tha khul ke ro lete the sab ek dusre ke samne dil ke zakhmon ko chhupa ke yun koi rakhta na tha