dil daba jata hai kitna aaj gham ke bar se kaisi tanhai tapakti hai dar o diwar se manzil-e-iqrar apni aakhiri manzil hai ab hum ki aae hain guzar kar jada-e-inkar se tarjuman tha aks apne chehra-e-gum-gashta ka ek sada aati rahi aaina-e-asrar se mand padte ja rahe the khwab-taswiron ke rang raat utarti ja rahi thi dard ki diwar se main bhi 'akbar' karb-agin jaanta hun zist ko munsalik hai fikr meri fikr-e-schopenhauer se