kabhi to sochna tum un udas aankhon ka ye ratjagon mein ghiri mahw-e-yas aankhon ka main ghar gai thi kahin wahshaton ke jangal mein tha ek hujum mere aas pas aankhon ka barahnagi tere andar kahin panapti hai libas dhund koi be-libas aankhon ka tumhaare hijr ka mausam hi ras aaya mujhe yahi tha ek tabiat-shanas aankhon ka usi ki nazr sabhi ratjage sabhi ninden aur us ki aankhon ke nam iqtibas aankhon ka padi rahe teri taswir samne yunhi ye zar khila rahe aankhon ke pas aankhon ka khayal tha ki wo abr is taraf se guzrega so ye bhi 'jaanan' tha wahm-o-qayas aankhon ka