dahr ke andhe kuen mein kas ke aawaza laga koi patthar phenk kar pani ka andaza laga zehn mein sochon ka suraj barf ki surat na rakh kohr ke diwar-o-dar par dhup ka ghaza laga raat bhi ab ja rahi hai apni manzil ki taraf kis ki dhun mein jagta hai ghar ka darwaza laga kanch ke bartan mein jaise surkh kaghaz ka gulab wo mujhe itna hi achchha aur tar-o-taza laga pyar karne bhi na paya tha ki ruswai mili jurm se pahle hi mujh ko sang-e-khamyaza laga shahr ki sadkon par andhi raat ke pichhle-pahar mera hi saya mujhe rangon ka shiraaza laga jaane rahta hai kahan 'iqbaal-sajid' aaj kal raat din dekha hai us ke ghar ka darwaza laga