kya ajab apni zindagani hai na-mukammal si ek kahani hai phul khilne lage hain yaadon ke ab tabiat mein kuchh rawani hai khun tapka hai meri aankhon se ek masiha ki mehrbani hai khud ko kalma padha liya hum ne phir bhi aadat wahi purani hai wo kitabon mein rah gaya lekin us ki zinda abhi kahani hai ek tu hi na tha mera warna sari duniya meri diwani hai zinda-jawed zat hai us ki aur jo kuchh bhi hai wo fani hai