dil tha hamara sone jaisa ab tum ko jatlayen kya ulfat mein kya dukh jhele hain hum ne ye batlaen kya ab ke baras bhi sawan barsa waisa hi kuchh pagal sa kali ghataen kaise utthin sara kuchh batlaen kya gulshan mein hai phir wo bahaaran jis ke tum shaidai the chashm-e-tasawwur se hi dekho lafzon mein dikhlaen kya dil ki zid to dekho kya anhoni baaten karta hai sham-o-sahar ki doren chhutin ab is ko bahlaen kya zist ibarat hai ek aisi padh na sakoge jaane do lafz ke dipak jo hain raushan hum un ko gahnaen kya