daim ho us ke husn ki nuzhat khuda kare aur mujh mein ye junun ki lazzat khuda kare sanjidgi ka rang ho thoda sa pyar mein baqi magar ho rang-e-shararat khuda kare muddat se koi tir na khanjar na sang-o-khisht dushman ho mera zinda salamat khuda kare ghamgin hun latife hain phir bhi zaban par qaem rahe ye zauq-e-zarafat khuda kare poshida hain gunahon mein barbaadiyon ke raaz nazil ho dil pe harf-e-nadamat khuda kare majmea ki kaifiyat ka manzar ajib tha badhta rahe ye zor-e-khitabat khuda kare kahte hain apni auron ki sunte nahin hain log ho jae kash shauq-e-samaat khuda kare kahte hain ahl-e-din ki taqwa hi din hai wo jaan jaen kash iqamat khuda kare meri dua yahi hai sharik-e-safar ke sath aa jae hum ko husn-e-nizamat khuda kare takhliq hai bulandi-e-afkar ki ata aae tere kalam mein rifat khuda kare har shakhs kash sikh le aadab pyar ke dil mein na ho kisi ke kudurat khuda kare 'jawed' chhin sakta hai kya koi us ka rizq jis shakhs ki hamesha kifalat khuda kare