dasht-e-talab mein kab se akela khada hun main jis ka nahin jawab koi wo sada hun main kis ki talash hai mujhe apne wajud mein wo kaun kho gaya hai jise dhundhta hun main ye main ne kab kaha tha ki thahro mere liye dekha to hota mud ke kahan rah gaya hun main hai kis ka intizar tujhe rah-e-raftagan teri hadon se dur bahut ja chuka hun main muddat ke baad laut ke ghar aa gaya to hun ab sochne laga hun koi dusra hun main