fareb-e-zauq ko har rang mein ayan dekha jahan jahan tujhe dhundha wahan wahan dekha wahi hai dasht-e-junun aur wahi hai tanhai tere fareb ko ai gard-e-karwan dekha hai barq ko bhi koi lag na-muradon se giri tadap ke jahan us ne aashiyan dekha junun ne hafiza barbaad kar diya apna kuchh ab to yaad nahin hai kise kahan dekha ajab ye dil hai jise bawajud tanhai ghira hua tere jalwon ke darmiyan dekha wahin wahin tere jalwon ne aag bhadkai jahan jahan koi be-nam-o-be-nishan dekha tilism-e-soz-e-mohabbat ki garmiyan tauba ki hum ne ashk ke pani mein bhi dhuan dekha gali mein un ki qadam rakh ke sakht hairan hun yahan zamin ko bhi ham-rang aasman dekha laga di jaan ki bazi gham-e-mohabbat ne jab un ke husn ka sauda bahut garan dekha hazar bar sune hum ne ishq ke nale magar kisi ne jo dekha to be-zaban dekha