yaad aati rahi bhula na sake shama jalti rahi bujha na sake chand-tare gul-o-chaman mil kar dil ki ek dastan suna na sake aas bandhi thi jin sitaron se der tak wo bhi jagmaga na sake naghma kya mutriban-e-ahd-e-jadid tar tute hue mila na sake aaj wo rahbar-e-khalaiq hain khud ko jo aadmi bana na sake panja-e-gul se bhi ye matwale daman-e-zindagi chhuda na sake gham ke mare hue qulub 'nushur' dard ki sarhadon ko pa na sake