dalael se khuda tak aql-e-insani nahin jati wo ek aisi haqiqat hai jo pahchani nahin jati ise to rah mein arbab-e-himmat chhod dete hain kisi ke sath manzil tak tan-asani nahin jati kise milti hain wo aankhen mohabbat mein jo roti hain mubarak hain wo aansu jin ki arzani nahin jati ubharta hi nahin dil dub kar bahr-e-mohabbat mein jab aa jati hai is dariya mein tughyani nahin jati gadai mein bhi mujh par shan-e-istighna barasti hai mere sar se hawa-e-taj-e-sultani nahin jati muqim-e-dil hain wo arman jo pure nahin hote ye wo aabaad ghar hai jis ki virani nahin jati kuchh aisa partaw-e-husn-e-azal ne kar diya raushan qayamat tak to ab zarron ki tabani nahin jati kuchh aise barguzida log bhi hain jin ke hathon se chhuda kar apna daman pak-damani nahin jati hujum-e-yas mein bhi zindagi par muskuraata hun musibat mein bhi meri khanda-peshani nahin jati