hamare zehn pe tari hai bebasi ab tak

hamare zehn pe tari hai bebasi ab tak
ki puri ho nahin pai teri kami ab tak

tumhaare baad mere zakhm bharna dur ki baat
tumhaare baad udasi nahin gai ab tak

bahut purana talluq ye un parindon se
magar main samjhi nahin un ki dosti ab tak

kisi ke sath ne jine ka hausla bakhsha
isi liye main na kar pai khud-kushi ab tak

tumhaare baad kahin aur dil lagana tha
tumhaare baad ye mohlat nahin mili ab tak

tumhaare baad ujale se ho gai thi chidh
hamari aankh ko roti hai raushni ab tak

hum aise log jo andar se mar chuke kab ke
hamari lash hi dharti pe hai dhari ab tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close