dalil-e-kun hai magar dard-e-la-dawa nikli ye kaenat ajab hairat-azma nikli ye mana sach hai koi gham sada nahin rahta khushi mili thi to wo bhi gurez-pa nikli hawa ki tarah se ud jaunga jahan bhi rahun pae khabar qafas-e-rang se sada nikli kahan se aai hawa is ujad manzar mein jo ghar se nikli to wo bhi shikasta-pa nikli wo nim-shab wo rukh-e-mahtab-o-abr-e-siyah shikastagi thi ki chashm-e-falak-numa nikli wo mauj-e-mai thi jo chamka gai udasi ko kisi ki khanda-labi bu-e-ashna nikli haya ke sath taqaza-e-qahr-o-mahar bhi hai teri nazar se tabiat meri juda nikli