to mujhe ek jhalak bhi nahin dikhlani kya

to mujhe ek jhalak bhi nahin dikhlani kya
sirf musa pe inayat thi ye farmani kya

main kisi shakhs ke marne pe bhi ghamgin nahin
khak agar khak mein milti hai to hairani kya

khat mein likhte ho bahut dukh hai tumhein hijrat ka
yar jab ja hi chuke ho to pashemani kya

meri aankhon mein zara ghaur se dekh aur bata
in se badh kar hai bhala dasht ki virani kya

na gham-e-yar hai mujh ko na gham-e-dauran hai
aakhir ab zist mein bhi is qadar aasani kya

meri mitti mein alag shai hai koi kuza-gar
waqt-e-tajsim meri khak nahin chhani kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close