khushi jaante hain na gham jaante hain jo un ki raza ho wo hum jaante hain jo kuchh chaar tinkon ko hum jaante hain wo gulchin-o-sayyaad kam jaante hain tumhaare hi jalwon ki hum raushni ko tajalli-e-dair-o-haram jaante hain main qatil na mahshar mein samjhun bhi to kya tumhein sab khuda ki qasam jaante hain meri khak-e-dil ka pata bhi nahin hai wo itne sitam ko bhi kam jaante hain khuda ko khuda hum samajhte hain waiz magar han sanam ko sanam jaante hain karenge na arz-e-tamanna ki hum khud mohabbat ka apni bharam jaante hain wahi kuchh samajhte hain asrar-e-hasti jo hasti ko apni adam jaante hain mata-e-do-alam samajhte hain hum bhi magar chaar tinkon se kam jaante hain kahin raaz-e-ulfat bhi hota hai zahir kahen kyon jo kuchh tum ko hum jaante hain khuda ko wahi khub pahchante hain tumhein jo khuda ki qasam jaante hain khuli hain dam-e-naza aankhen jo 'afqar' abhi tak wo aankhon mein dam jaante hain