dam-e-aKHir kisi ka shikwa-e-bedad karte hain

dam-e-akhir kisi ka shikwa-e-bedad karte hain
nahin hain hichkiyan rah rah ke hum fariyaad karte hain

riha ho kar hum itni khatir-e-sayyaad karte hain
nasheman raat ko din ko qafas aabaad karte hain

fughan sun kar meri wo naz se irshad karte hain
kahan tu mar rahi ai maut tujh ko yaad karte hain

budhape mein tujhe hum ai jawani yaad karte hain
ab apni umr aakhir is tarah barbaad karte hain

ajab andaz se kahti hain dil ki hasraten mujh se
hamein ghar se nikalen ghar wo kyun barbaad karte hain

na aankhon mein kabhi aansu na honthon par kabhi nale
na hum qismat ko rote hain na hum fariyaad karte hain

gale mein kyun rag-e-jaan ban ke khanjar rah gaya tera
kahin bismil se aisi shokhiyan jallad karte hain

ye kyun hai dushmanon ko doston ko justuju us ki
wo mujh par rahm farmate hain ya bedad karte hain

girana hai hamein kuchh bijliyan sayyaad ke ghar par
asar-khez ek nai tarz-e-fughan ijad karte hain

dil-e-muztar ki taswiren bhari hain kya muraqqe mein
kuchh ustadi bhi is mein mani-o-bahzad karte hain

hamare sath hai sayyaad bhi yarab musibat mein
kaleja munh ko aata hai jo hum fariyaad karte hain

likha kis husn se khat mein ki hum tujh se kashida hain
kashish harfon ki aisi hai ki hum bhi sad karte hain

uthunga yunhi mahshar mein liye main un ke khanjar ko
gale mere lagate hain ye kya jallad karte hain

kahan wo hain kahan hum hain pada hai tafraqa yarab
wo hum ko yaad karte hain hum un ko yaad karte hain

meri surat jo dekhi ham-nashin se hans ke farmaya
yahi kohsar par ab matam-e-farhad karte hain

kabhi thodi si pi li lab nahin us ki bhi kuchh parwa
alag goshe mein baithe hain khuda ko yaad karte hain

mujhe dekha to bole mere kuche se nikal jaen
ye dil mein chutkiyan lete hain ya fariyaad karte hain

buzurgi hai ki marte hain butan-e-shokh par ab bhi
'riyaz' is umr mein kyun aaqibat barbaad karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close