dam-e-isa yad-e-baiza ke qarine wale ab na mansur na suqraat se pine wale wahi kufi wahi lashkar wahi paiman-e-wafa wahi aasar moharram ke mahine wale dam nikalta hai na sar jhukta hai diwanon ka jaane kis aas pe jite hain ye jine wale ye jo sahil ke manazir hain jo aawazen hain ja ke us par na paenge safine wale hum mohabbat ki alamat hain janab-e-waiz hum adawat ke talabgar na kine wale ek paigham ho shayad meri khamoshi bhi tujh ko malum nahin lab mere sine wale aaj kuchh log hain surat-gar-e-haalat 'akhtar' aur kuchh log hain mazi ke dafine wale in ko thodi si ukhuwwat bhi ata ho jae ye jo lete hain tera nam madine wale