naqsh-e-diwar wo surat bhi gai meri aankhon ki wo wahshat bhi gai wo diya bujh gaya mere andar wo hawaon se raqabat bhi gai jaan-sipari ke bahut dawe the ab to jine ki nadamat bhi gai sai-e-asudgi-e-wasl to kya girya-e-shab ki wo fursat bhi gai din ko sae se to kuchh sath bhi the raat ko phir ye rifaqat bhi gai jin se zinda the zamir-o-ehsas ab wo andar ki malamat bhi gai sar bhi ruswa hain ki sauda na raha sang-e-diwar ki izzat bhi gai