dam hawa ke siwa kuchh aur nahin but khuda ke siwa kuchh aur nahin sher-fahmi kahan ki ab lab par marhaba ke siwa kuchh aur nahin aadmi hai magar adhura hai parsa ke siwa kuchh aur nahin rah-e-hasti ki manzil-e-mauhum naqsh-e-pa ke siwa kuchh aur nahin ibtida dard-e-dil ki kya kahiye intiha ke siwa kuchh aur nahin apni pahchan aap paida kar tu 'ziya' ke siwa kuchh aur nahin