kuche se nikalwate ho abas hum aise watan-awaron ko

kuche se nikalwate ho abas hum aise watan-awaron ko
rahne do pade hain ek taraf dukh dete ho kyun be-chaaron ko

rogi jo tumhaare ishq ke hain jite hain tumhaari aas pe wo
do chaar dinon pe khuda ke liye dekha to karo bimaron ko

ham-shakl kisi mizhgan ke jo the to dil mein hamare chubhna tha
afsos ki ai sahra-e-junun chubhna bhi na aaya kharon ko

har shahr mein hai sannata sa har kuche mein khak udti hai
jis din se tere diwanon ne aabaad kiya kohsaron ko

thodi si rahi hai raat 'ziya' kuchh mang duaen khaliq se
behtar hai isi mein ho jo sahar phir sham se ginna taron ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close