sher kahne ki tabiat na rahi jis se aamad thi wo surat na rahi us ki dahliz se uth jaun magar log sochenge mohabbat na rahi ab mila adl, gaya daur-e-shabab munsifi teri bhi waqat na rahi waqt ki daud mein rukna tha kathin sans lene ki bhi fursat na rahi waqt-e-didar ajab hukm hua hosh khone ki ijazat na rahi tum se jazbaat the jab tum hi nahin phir zamane se shikayat na rahi main nikal aaun bayaban se agar shohra ho jaega wahshat na rahi bhid mein dhunden kahan qais ko ab wo jo pahchan thi wahshat na rahi daur-e-rafta ke namune ho 'salam' ab takalluf ki zarurat na rahi