zulmat-e-shab ko bahar taur to Dhalna hoga

zulmat-e-shab ko bahar taur to dhalna hoga
ab har ek sip se moti ko nikalna hoga

so chuke hain jo sabhi khwab jagao logo
dil ko ta۔bir ki khwahish pe machalna hoga

ab to gir gir ke sanbhalne ka rawadar nahin
thokaron se tumhein har bar sanbhalna hoga

apne aasab ko jazbaat ko fauladi kar
dil agar mom bana us ko pighalna hoga

ek zara chuk na kar de kahin barbaad tujhe
waqt ki lai pe tujhe jhum ke chalna hoga

ban ja tu ahl-e-hunar khud pe bharosa kar le
warna tujh ko bhi khilaunon pe bahalna hoga

chhod jae na zamana tujhe aadhe raste
ban ke burraq tujhe aage nikalna hoga

jaan le tu jo hai 'mumtaz' hai manzil koi
aarzuon ko sar-e-dast kuchalna hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close