daman-e-dil hai tar tar apna kaam kar hi gai bahaar apna jab se taskin de gaya hai koi aur bhi dil hai be-qarar apna dekh kar bhi unhen na dekh sake rah gaya shauq-e-intizar apna justuju aa gai sar-e-manzil rah gaya rah mein ghubar apna wo nazar phir gai to kya hoga us nazar tak hai e'tibar apna is ki har jumbish-e-nazar ke sath rukh badalti gai bahaar apna har-nafas hai unhin ki yaad 'iqbaal' gham hai kaisa sada-bahaar apna