daman-e-koh mein jo mein dadh mar roya ek abr wan se uth kar be-ikhtiyar roya padta na tha bharosa ahd-e-wafa-e-gul par murgh-e-chaman na samjha main to hazar roya har gul zamin yan ki rone hi ki jagah thi manind-e-abr har ja main zar zar roya thi maslahat ki ruk kar hijran mein jaan dije dil khol kar na gham mein main ek bar roya ek ijz ishq is ka asbab-e-sad-alam tha kal 'mir' se bahut main ho kar do-chaar roya