yunhi thahar thahar ke main rota chala gaya moti sambhal sambhal ke pirota chala gaya sanchon mein husn o nur ke dhalta gaya shabab sar-ta-qadam shabab hi hota chala gaya dushman ne meri rah mein kante bichha diye aur main utha to phul hi bota chala gaya har nafas-e-arzu jo ba-unwan-e-hosh tha jaise koi sharab se dhota chala gaya jhula jhula rahi thi mujhe dil ki aarzu sab jagte the aur mein sota chala gaya ranj o malal o kaif o nashat o bahaar-e-umr jo kuchh mujhe mila use khota chala gaya gham ka khamosh naghma-e-dil-soz bhi 'nushur' ek kaif sa ragon mein samota chala gaya