wo sar-e-baam kab nahin aata jab main hota hun tab nahin aata bahr-e-taskin wo kab nahin aata e'tibar aah ab nahin aata chup hai shikwon ki ek band kitab us se kahne ka dhab nahin aata un ke aage bhi dil ko chain nahin be-adab ko adab nahin aata zakhm se kam nahin hai us ki hansi jis ko rona bhi ab nahin aata munh ko aa jata hai jigar gham se aur gila ta-ba-lab nahin aata bholi baaton pe teri dil ko yaqin pahle aata tha ab nahin aata dukh wo deta hai us pe hai ye haal lene jata hun jab nahin aata 'arzu' be-asar mohabbat chhod kyun kare kaam jab nahin aata