daman-e-zabt ko ashkon mein bhigo leta hun dard jab had se guzarta hai to ro leta hun aankh lagti hi nahin nind kahan se aae nind aati nahin kahne ko to so leta hun jab nahin milta anis-e-gham-e-furqat koi rakh ke taswir teri samne ro leta hun ab teri yaad hi taskin-e-dil-o-jaan hai mujhe ab tere dard ke bistar pe bhi so leta hun jab bhi mil jati hai fursat gham-e-duniya se 'shakeb' yaad kar ke unhen tanhai mein ro leta hun