na din pahad lage ab na raat bhaari lage na aae nind to aaankhon ko kya khumari lage khushi nahin thi to gham se nibah kar lete kisi ke sath tabiat magar hamari lage koi na ho kabhi ahbab ke karam ka shikar meri tarah na kisi dil pe zakhm-e-kari lage hamein tadapta hua gham mein chhodne wale khuda kare ki tujhe zindagi hamari lage nafas nafas hamein roz-e-jaza se badh kar hai wo shauq se jiye jis ko hayat pyari lage wo mar na jae to phir aur kya kare ai 'shakeb' wajud apna jise zindagi pe bhaari lage