laga liya tha gale us ne ba-wafa kah kar hamin ne tal diya harf-e-ashna kah kar kaf-e-talab pe kabhi to mere huzur likho hina ke naqsh ko tahrir-e-khun-baha kah kar kuchh aisi shakl mujhe ru-ba-ru dikhai di nazar palat gai aaina-e-riya kah kar uda ke le gai mauj-e-saba na jaane kahan tumhaare jism ki khushbu ko aashna kah kar fasil-e-waqt se aazad ho ke meri zaban qubul-e-am hui dasht ki sada kah kar thin jin mein dafn hazaron qadam ki aawazen mita diya tere talwe ne naqsh-e-pa kah kar main apni waza pe qaem rahun 'shakeb'-ayaz wo apni pyas bujhae bura-bhala kah kar